5 MOST POWERFUL EARTHQUAKES OF MAN HISTORY!! MUST READ!!

NAMASKAR DOSTO! EK BAAR PHIR AAPKA SWAGAT HAI AUR EK BAAR PHIR MAI AAP LOGO KE LIYE LEKE AAYA HU BAHOT HI INTERESTING TOPIC. UMMEED HAI AAP LOGO KE YE PASAND AAYEGI. TOH DOSTO! ISS POST ME MAI AAPKO BATANE WALA HISTORY KE TOP 5 STRONGEST EARTHQUAKES KE BARE ME. 
DOSTO! AAP SABHI KO PATA HI HOGA KI EARTHQUAKE KYA HOTA? DOSTO! AASAN SHABDO ME KAHA JAYE TOH JAB HAMARI EARTH KE SURFACE KE NICHE KOI HULCHAL HOTI HAI AUR USSE SURFACE KE UPAR VIBRATION HOTA HAI, TOH USSE EARTHQUAKE YAA BHUKAMP KEHTE HAIN. EARTHQUAKES KI SPEED KO MEASURE KARNE KE LIYE RICHTER SCALE KA USE KIYA JAATA HAI, JISE 1935 ME "CHARLES RICHTER" NE DEVELOPED KIYA THA. TOH AAJ JAANTE HAI, HISTORY KE TOP 5 SABSE STRONGEST EARTHQUAKES KE BARE ME.


NO.5 KAMCHATKA, RUSSIA

DOSTO! YE EARTHQUAKE MAN HISTORY KA FIFTH LARGEST EARTHQUAKE THA. YE 4TH NOVEMBER 1952 KO HUA THA AUR ISS EARTHQUAKE KI WAJAH SE AROUND 10,000 PEOPLES KI JAAN CHALI GAYI. ISS EARTHQUAKE KI SPEED 8.9 MAGNITUDE THI, JISKI WAJAH SE BAHOT HI ZYADA TABAHI HUYI THI. YE RUSSIAN KAMCHATKA PENINSULA KE COASTAL AREAS ME OCCURRED HUA THA.

NO.4 ALASKA

YEH EARTHQUAKE MARCH 1964 ME HUA THA AUR YE HORRIBLE TRAGEDY THI. ISKI SPEED 9.2 MAGNITUDE THI, JISKI WAJAH SE GULF OF ALASKA  DESTROYED HO GAYI THI. ISME 128 LOGO KI DEATH HO GYI THI AUR ISKA EFFECT PUERTO RICO AUR LOUISIANA GULF COAST TAK HUA THA. ISS EARTHQUAKE NE BHI BAHOT HI HEAVY QUANTITY ME TABAHI MACHAYI THI.

No.3 CHILE

DOSTO! YEH EARTHQUAKE 22ND MARCH, 1960 ME CHILE ME HUI THI AUR YE BAHOT HI VINASHKARI SAABIT HUA THA. ISKI SPEED 9.5 MAGNITUDE KI THI, JISNE PURI DUNIYA KO VIBRATE KARKE RAKH DIYA THA. ISKE WAJAH SE AROUND 4,485 LOG MAARE GAYE AUR AROUND 2 MILLION LOG DISPLACE HO GAYE THE. ITNA HI NAHI ISKI WAJAH SE TSUNAMI BHI AAYI, JISNE PUERTO SAAVEDRA PORT ME APNA KAHAR DIKHAYA AUR ISKI WAJAH SE 550$ MILLION KA NUKSAAN HUA AUR 170 LOG MAARE GAYE. ISKI WAVES NE JAPAN AUR PHILIPPINES TAK TRAVEL KIYA THA.

NO.2 SHENSI, CHINA

YEH EARTHQUAKE 1556 ME CHINA ME HUA THA AUR YE AROUND 8.0 MAGNITUDE KI SPEED SE AAYA THA. ISS QUAKE NE SHAANXI PROVINCE KO TABAH KAR DIYA AUR ISKA EFFECT 500 MILES TAK HUA THA. JISKI WAJAH 8,30,000 SE ZYADA LOG MAARE GAYE. ISKE EFFECT SE EFFECTED AREAS KE GHAR COLLAPSE HO GAYE AUR 500 MILES TAK KA AREA PURI TARAH SE TABAH HO GAYA THA.

NO.1 SUMATRA, INDONESIA

DOSTO! YEH EK AISI GHATNA THI, JISNE HAMARI PURI EARTH KO HILA KE RAKH DIYA THA AUR YE AAJ BHI LOGO KO YAAD HAI. YE AB TAK KI SABSE VINASHKARI TSUNAMI SAABIT HUI. ISS QUAKE NE 26TH DECEMBER 2004 KO INDONESIA KE SUMATRA AREA KO HIT KIYA. ISKI SPEED 9.1 MAGNITUDE THI. EK FACTOR JO ISS EARTHQUAKE KO BAKI SAARE QUAKES SE BADA BANATA HAI, WO YEH HAI KI ISS QUAKE KA EFFECT AISA KE 14 DIFFERENT COUNTRIES AUR AFRICA KE EASTERN PART ME MEHSOOS KIYA GAYA THA. ISS EARTHQUAKE ME 2,27,898 SE ZYADA LOG INCLUDING 38,786 MISSING LOG MAARE GAYE AUR 5,04,518 LOG DISPLACED HO GAYE. YE BHAYANAK MEMORY AAJ BHI LOGO KO YAAD HAI, JISNE HAMARI EARTH KO HILA KE RAKH DIYA THA.



POST PASAND AAYI TOH COMMENT ZAROOR KARNA AUR APNE DOSTO KO SHARE ZAROOR KAR DENA. AISI HI AUR INTERESTING POSTS KE LIYE FOLLOW KARNA MAT BHULNA. MAI MILTA HU AGLI POST ME TAB TAK KE LIYE, STAY TUNED. 
THANKS FOR GIVING YOUR SPECIOUS TIME.

Comments

Post a Comment