HOW TO PLAY A SAFE HOLI!! IN HINDI!!

NAMASKAR DOSTO! EK BAAR PHIR AAPKA SWAGAT HAI AUR AAJ KI POST BAHOT HI IMPORTANT HAI. AAJ MAI AAPKO BATANE WALA HU KI KAISE AAP SAFETY KE SAATH HOLI KHEL SAKTE HAI. AAPKO KIN KIN BAATON KA KHAAS DHYAN RAKHNA HOGA. DOSTO! HOLI KA FESTIVAL KHOOB SARI MAUJ MASTI APNE SAATH LEKAR AATA HAI, LEKIN AGAR ISS MAUKE PAR AAPKI HEALTH KHARAB HO JAYE TOH SARA MAZA PHEEKA HO JATA HAI. ISILIYE AAPKO YE JAAN LENA CHAHIYE KI KAISE AAP EK SAFE HOLI KHEL SAKTE HAI.  SO, LET'S START. 


HOLI KE FESTIVAL PAR HONE WALE KUCHH NUKSAAN:-

☆ HOLI PAR SYNTHETIC COLOURS SE DOOR REHNA CHAHIYE, KYUNKI IN COLOURS ME BHAYANAK CHEMICALS MILE HOTE HAI, JO AAPKI SKIN AIR AANKHO KO HARM KAR SAKTE HAI.

☆ HOLI KE MAUKE PAR PANI ME ZYADA BHEEG JANE KI WAJAH LOGO KO SARDI, ZOOKHAM AUR SIR DARD JAISI PROBLEMS HO SAKTI HAI.

☆ HOLI PAR BALOONS AKSAR AANKHON ME LAG JATE JISSE LOGO KO LIFETIME BLINDNESS HO SAKTI HAI.

ETC....

IN PROBLEMS SE BACHNE KE TARIKE:- 

☆ SYNTHETIC COLOURS KO AVOID KARKE AAPKO SIRF HERBAL COLOURS SE HOLI KHELNI CHAHIYE. 

☆ HOLI KHELNE SE PEHLE BODY AUR HAIRS ME NARIYAL YA SARSO KA TAIL LAGANA CHAHIYE TAKI RANG AASANI SE NIKAL JAYE.

☆ BALLONS KA USE NAHI KARNA CHAHIYE, KYUNKI ISSE CHOT LAG SAKTI HAI.

☆ PANI ZYADA DER TAK BHEEGNE SE BACHE JISSE AAP KO SARDI ZOOKHAM AUR BUKHAR SE BACH SAKTE HAI.

☆ AANKHO ME RANG CHALE JANE PAR THANDE PANI DHO LENA CHAHIYE AUR AANKHO YAA BODY ME JALAN YA RASHES HONE PAR DOCTOR KI ADVISE LENI CHAHIYE. 

                    SO, BE SAFE, BE HAPPY.


POST PASAND AAYI TOH COMMENT ZAROOR KARNA AUR APNE DOSTO KO SHARE ZAROOR KAR DENA TAKI WO BHI SAFE HOLI KHEL SAKE. AISI HI AUR INTERESTING POSTS KE LIYE FOLLOW KARNA MAT BHULNA. MAI MILTA HU AGLI POST ME TAB TAK KE LIYE, STAY TUNED. 

THANKS FOR GIVING YOUR SPECIOUS TIME.

Comments